Uncategorized

Shaher e Hyderabad mein Bay Shumaar private hospitals keay wajood mein aane kay bawajood 100 saal puranay fever hospital ki maqboliat mein kami nahi aayi hai.
Mausam badalte hi Mausami Bukhar, Viral Fever say Mutassira hazaron Mareez Fever Hospital say ruju hote hain.
saal 1915 mein Kalara naami marz kay Phailne par Sheds mein 1 Dawakhan banya gya aur yahan par kalara kay mareezon ka ilaaj kiya gaya tha.
20 August saal 1915 mein Fever hospital pahlay Erranna Gutta mein Qaayam kiya gaya tha. jo kay iss dawakhane kay saamne ka ilaqa hai.
saal 1923 mein Riyast e Hyderabad Deccan kay Saatwein Nizam, Mir Osman ali Khan Bahadur ne Shaher e Hyderabad kay ilaqay Nalla Kunta mein Quarantine Hospital Banaya tho is Hospital ko yahan Muntaqil kar diya gaya. Uss zamane mein Nalla Kunta ko shaher ka Baheri ilaqa samjha jata tha aur yahan aabaadi bhi nahin thi.
Fever hospital ko Hyderabad kay Muqaami Log is dawakhane ko Koranti Hospital ke naam se pukarte hain, jo kaye qarantine ki bigdi hui shakal hai.
1928 mein Hospital mein Lab bhi qaayam kiya gaya. Ye dawakhana 13 Acre par Phaila huwa hai. Hospital mein 1 ward doosray ward say alag alag banaya gaya tha.
Yahan par Kalara, Maleria, Dengue Typhoid, viral fever , Chicken Fox, Kutte kay katne ka ilaaj, Tetnas jaisay cases ko bhi dekha jaata hai.
Dawakhane mein 7 wards hain. jab kisi mareez ka fever yaani Bukhar kam nahin hota tho shaher kay Private hospitals bhi Fever Hospital ko recomment karte hain jis ki wajaeh say iss dawakhane ko Fever Hospital kay naam say Shohrat hasil hai.
Saal 1997 mein Hukumat ne is Hospital ka naam badal kar Maleria kaa ilaaj daryaaft karne wale Noble inaam yafta Doctor Sir Ronald Ross Institute of Tropical and Communicable Diseases Rakha .
iss dawakhane mein riyasat ka Wahed Virology Lab hai iss lab mein har qisam kay viral infection kay test kiye jaate hain. 5 Crore Rupay ki Laagat say iss Lab ko qaayam kiya gaya. lab kay Qayaam say pahlay Blood test Poona Bhej kar karwaye jaate thay. aur Report aane tak 1 mahine say ziyada ka waqt lagta tha aur iss dauraan ilaaj mein deiri hone ki wajeh say mareez ki maut bhi ho jati thi. iss Lab mein Swine Flu ka bhi test kiya jaata hai.
iss dawakahne ka Maintenance Doosray Sarkari dawakhanon say bahtar hai. Saaf Safai ka khas Khayal rakha jaata hai. Sau saal say ziyada arsay say awam ki khidmat karne walay is Hospital ko kyee Awards hasil huwe hain.
——————

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button