Uncategorized

Falak Numa palace
Naujawan nasal ko Hyderabad ki Tareeq say kuch Maloomat dene kay maqsad say Sach News ki janib say ye 1 Choti si koshish hai.
Shaher e Hyderabd ka Falak numa Palace un chand hindustani Heritage Palaces mein say 1 hai jis ki Shahi daur ki shandaar tareekh hai. hyderabad ki Shahi riyasat ki 1 anmol meeras, ye Palace Nizaam Mehboob Ali Khan ki baqaida Rehaesh gaah tha.Yaani woh yahan par rahte thay.
‘ fallak numa’ jis ka matlab hai’ aasman ki tarah’ -ye London kay Buckingham Palace ki tarah shandaar hai.
ye duniya kay bahtareen Palaces mein say 1 hai.
Hyderabad shaher ko is shandaar Heritage Palace rakhnay ka aizaz,, Nawab Waqar ul Umra, is waqt kay nizaam mehboob Ali Khan kay behnoi, aur is waqt ki Shahi riyasat kay Wazeer e Azam ko haasil hai .
Falak numa palace jaisa bay misaal mahel nawab Waqar ul Umra ka khawab tha,
40 laakh Rupay ki laagat say ye khawab haqeeqat ban gaya. 1884 mein is ki bunyaad say le kar 1893 mein mukammal honay mein 9 saal lagay .
Hyderabad kay Wazeer e Azam sir Waqar ul Umra ne Falak numa palace ko apni niji rehaish gaah kay taur par istemaal kiya.. jab tak kay -1898 kay aas paas hyderabad kay 6 win nizaam Mahboob Ali Khan kay hawalay nahi kiya gaya .
1897 ke mausam e bahhar mein hyderabad kay Chetwein nizaam Meer mehboob Ali Khan ko mahel mein qiyaam ki dawat di gayi.
Unhon ne apna qiyam 1 hafta, phir 1 -15 din aur phir 1 mahine tak badha diya, jis ki wajeh say sir Waqar ne Mhboob ali Khan ko Falak Numa Palace dene ki peshkash ki, jis ko nizaam ne qubool kar liya Lekin mahal ki kuch qeemat ada kar di. Paigah khandan kay mutabiq taqreeban ₹2 million Ada kiye gaye.
Nizaam Mahbbob Ali Khan hyderabad mein aanay walay Shahi mahmanon kay liye mahel ko bataur maheman khana istemaal karte thay.
Taaj group of hotels ko Lease par diye jane kay baad mahel ko bahaal kar diya gaya. saal 2000 mein shuru honay wali bahaali mein 10 saal lagey, aur is ka intezam Prince Mukarram jah ki pahli biwi shahzadi Asra ne kiya.
————–
Princes asra
Shahzadi Asra kisi Taaruf ki Mohtaaj nahin, in kay naam par shaher e hyderabad kay purane shaher kay Moghalpura mein Asra Hospital hai.
shehzadi asra Riyasath e hyderabad kay 8 weiin nizaam shahzada Mukarram Jah ki ahliya theen.
Shazadi Asra ka talluq koi shahi Khandan say nahin tha Balkay 1959 Prince Mukarram Jah Bahadur say Un ki shadi hone par unhein Princess ka darja mila tha.
Princess Asra ne akelay hi Falak Numa Palace aur Chow mahla Palace ko Dobara bahaal karte hue in ko Duniya bhar mein mashoor karne mein Kamiyaabi hasil ki hai.
Princess Asra Kabhi na Rukne wali Khatoon hain. jab tak woh apne maqsad mein kamiyaab nahin hoteen, Haar nahin manti hain. Princess Asra Hyderabad kay liye Bay Lous Kaam karti hain. Princess asra 1936 ko Turky mein paida hueen.
1959 mein Prince Mukarram Jah bahaddur say in ki Badi Dhoom dham say shadi huee. Princess asra ko 1 beta Prince Azmat jah aur 1 Beti Shazadi Shaikh yaar Begum hai. jo kay London Mein rahte hain.
Prince Mukarram Jah say in ki shadi ka rishta 15 saal tak raha. phir in kay darmiyaan Talaaq ho gayee.
1976 mein apne shauhar Meer barket Ali Khan Siddiqui mukaram Jah , say alag hone kay baad, shahzadi asra ko apne doston say maloom huwa kay Chow Mahla Palace aur falak Numa Palace ki Haalat Kharab hai aur ye Shandaar imaratein Khatray mein hain aur Sab kuch Chori ho raha hai. Kisi ne socha bhi nahi tha kay wirsat ko girnay say bachaya ja sakta hai. Mukarram Jah kay Australia shift ho janay kay baad Shahi Mahlaat ki dekh bhaal karne aur iss ko bachane ke liye koi nahin tha.
ye khabar sun kar kay hyderabad ki shaan o Shaukat mein kuch baqi nahi rahe ga. 22 saal baad 1996 mein, Princess asra apne sabeqa shohar Mukarram jah Bahadur say in kay betay ki shadi mein mili. iss mulaqat mein Mukarram jah ne Princess asra ko bataya kay Aap ne jayidadon mein kami kay baray mein jo kuch suna aur padha hai woh sab sach hai. aur Mukarram jah ne Princess asra say madad karne ki Darkhwast ki. aur kaha kay main aap ko GPA banadeta hoon. Ho sakay tho aap in jaydadon yani Falak Numa Palace aur Chow mahala Palace ko Bacha lein. har 1 ne umeed chord di thi, kyunkay ye mahel murammat say bahar ho chuke thay. Lekin shahzadi asra ne is ko 1 challenge kay taur par liya. aur aagay Badhien.”
Ab thodi jankari Chowmahla Pace kay baaray maein :
Chow mahala Palace..Chow Mahla palce yaani ( chaar mahlaat , ) hyderabad, mein riyasat e hyderabad kay nizamon ka mahalaat hain.
Asaf jahi khandan ka ghar tha aur hyderabad kay nizamon ki sarkari rehaish gaah thi.. jab woh apni riyasat par hukoomat karte thay. Ye Mahel 1750 eeswi mein nizaam Salabat jung ne is mahel ki taameer ka aaghaz kiya tha.
aur ye mahel afzal ud Daula , Asif Jah panjum kay daur mein 1857 aur 1869 ke darmiyan mukammal Huwa.
Mahel ( darbaar hall ), chashmay aur baaghaat par mushtamil hai. Mahe l asal mein 45 acre par tha, lekin aaj sirf 12 acre par baqi hai .
is mahel ko 2005 aur 2010 ke darmiyan shahzadi asra ki sarparasti mein bahaal kiya gaya tha
ye mahal nizaam kay waris Mir barket Ali Khan mukarram Jah ki milkiat hai.
iss mahel mein hyderabadi nizaam khandan kay deegar afraad ne bhi shadian ki hain.
Mahel kay tahaffuz kay liye Unesco ka asia pacific meritt award 15 March 2010 ko Chow Mahla palace mein paish kiya gaya. Unesco kay Numainday ne rasmi taur par shehzadi asra, Prince mukarram Jah bahaddur ki sabiqq ahliya aur GPA holdar ko Award aur Certificat diya.
2014 mein Wazeer e aala Telangana K. Chandershekhar Rao ne Nizam Mir Osman ali Khan kay zewraat ko Dehli say wapas laane mein dilchaspi zahir ki thi, jab shahzada mukarram Jah ki sabeqq ahliya shahzadi asra ne CM KCR mulaqaat ki thi, Lekin iss kay baad say Hukumat iss maamlay ko bhool Chuki hai.
November 2017 mein Majlis kay Floor Leader Akbaruddin Owaisi kay iss silsilay mein kiye gaye sawal ka jawab dete hue Wazeer e aala telangana K Chandershekhar Rao neelaan kiya tha kay reyasti hukoomat hyderabad kay Sabiqa ​​Nizam kay Zewraat jis ki ki maliyat taqreeban 50, 000 crore rupay batayee gayee hai. usay Dehli say Hyderabad i wapas laane ke liye har mumkin koshish karengay.
——————-

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button